KABHI MERI YAAD..


KABHI MERI YAAD AAYE TOH….


kabhi meri yaad aaye to puchna
un haseeeen yaadon se
ki kaun in yaadon ke liye hi
jeeta tha

kabhi meri yaad aaye to puchna
un haseen raaton se
ki kaun mere khawabon ko
apne dil main rakhta tha

kabhi meri yaad aaye to puchna
in haseen ankhon se
ki kaun in ankhon ko
chandni main pirota tha

kabhi meri  yaad aaye to puchna
in mehakti saasoon se
ki kiski jaan
in saason main basti thi

kabhi meri yaad aaye toh puchna
un lamhon ki kasak se
ki kaun in lamhon ko
moti se parakhta tha

kabhi yaad aaye toh puchna
mere dhadakte dil se
ki kis dhadkan ke liye hi
yeh dhadkta tha
kiske udaas hone se
yeh khud bi rota tha

kabhi yaad aaye to puchna
meri bhatkti ruh se
jo aaj bi tumhari aaghosh ko tarasti  hain
tmhari ruh ko apna ek ansh samajhti hain

kabi yaad aaye toh bs,
is ruh ko hi bta dena
main vhan aakar tmhari saason ko apna bna lunga 
tmhre saath rehne ka har vada nibha lunga

bs,

kabhi yaad aaye toh puchna.........
in haseen..................

BY : SAURABH BHATIA