Wednesday 25 January 2012

KEHNA TO CHAHTHA HUN....


KEHNA TO CHAHTHA HUN…..


Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun,
har waqt ,har lamha, har pal tumhara intezar krta hun,   
har raat taaron se apni chahat ka izhaar krta hun,

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki  tumse  pyaar krta hun,
har saans main tumhe  mehsus  krne  ki chahat  krta  hun
har dil ke kone main tumhe basa kr tumhe pane ka  ehesas  krta hun

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun
har zarre se tmhari khushi ki ghuzarish krta hun
har waqt tmhare khaylon main dhoba rehta hun

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun
har roz tmhari zulfon se khelna chahta hun,
apni ruh se tmhari ruh ko chuna chahta hun,

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun
har din tmhare dil ki ghariyon main doobne ki tamanna krta hun
apne jism ki har ek hararrat main tumhe pana chahta hun

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun
har saal , har janam , har din tumhare sth betana chahta hun
sach kahoon to tumhe hi bs ,tumhe hi main apna bnana chahtha hun

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun
har roz yhi kehna ki himmat krta hun
apne dil ke halaton ko ahesaason main badlne ki chahtha  krta hun

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun
pr tumhe dekh kr sb bhool jyata hun
aur tmhari aaghosh main bs yun hi koh jyata hun

pr sach kahoon to tmhari ankhoon main khud ko dekhna chahtha hun
Tum khud kyn ni smjh jyati ki
main kya kehna chahtha hun

Main sirf tumhe puri kayinaath se door leja kr pyaar krna chahtha hun
aur apni zindagi tmhe bnana chahtha hun...................

Kehna to chahta hun , pr kya kahun
ki tumse pyaar krta hun...........


                                                                              BY: SAURABH BHATIA






No comments:

Post a Comment